22 July 2009

TANHAI



Har mod pe viraaniyan, har safar mein akelapan...
akele rahon pe jab chalte chalte beetein palon ko yaad karti hun...tab mehsoos hota hai ki shayad koi kabhi tanha hi nahin hota...
yaadein peecha nahin chodti...saanse dam nahin todti...aankhein jab banjar ho jaati hain...aansoo jab tham jaate hain tab ehsas hota hai akelepan ka, pyaar ki kami ka, dard ka, tanhai ka...
Kis tarah zindagi basar ho? kya pyaar sach mein hota hai?...agar hota hai to meri zindagi se hi khafa kyun hai?... aabaad kyun nahin hai meri bhi zindagi pyaar se... un lamho se jinhe log khoobsoorat kehte hain...
Woh pal kahan kho gaye hain...andhere mein chupe kyun hai...tanha dil ko sukoon kyun nahin dete...
Sochte sochte aankhein fir bhar aayi hain...
yeh aankhein bhi aadmi ki tarah hai...kabhi tanha nahin hoti... aadmi yaadon ke sahare jeeta hai aur aankhein ashkon ke sahare roti hain.

No comments:

Post a Comment